Hamare aasman par babale aur bhi to the.
Hamara bhav bas aisa ki jeevan ban chuke hai ham,
Kabhi patthar ke nashtar ke nazaare aur hi to the..
Jahan ke aage sitaare aur bhi the
Tumhari nazro ke sahaare ham hi the
Bas saath deti gayi...
Ye duniya banti gayi
Aandhiyo se na jhukaaya gaya hamein
Jahan me nazaare aur bhi the
Isi subah ke intezaar me sadiya beet gayi
Paniyo ke kinaare aur bhi the
Hamara naam bas ruhh leti rahi
Magar ham ruuh nahi ye manne ko taiyyar tum
hi the...
Ham moort nahi ek jaan hi the
Bas intzaar me hamaare aur hi the
Hame paana bas ek chhal jaisa tha
Ham kabhi aate nahi ruuh hi aati rahi
Tumhare saath ne badla hame
Hamaare aasmaan me tare aur bhi the
Ye zarra zarra hamara hai ham magar zarre ke nahi
Hamara bhav gahra hai deewane aur bhi the
Ham ieshwar hame aana pada jag chhod
bas ek hi bindu me
Hame paane ko maaya ne bithaye aur bhi to the.....
Kabhi bas shaam ko yu hi nazaare aasmaano ke
Kabhi chhupte kabhi dikhte sitaare aur bhi to the
Kuchh aisa hai jo dharti par hame laata rahe aage
Yahi hai prem jiske sahare ruk sakein wo ham hi the.....
Hamare astittwa ki vyakhya bas bhav hi hai
Wahi ik bhav ke dulare ham hi hain...










