सोमवार, 29 दिसंबर 2025

Ek Surya banta hai..ek chaand ugta hai...

Hindi poem

 

Ek Sury banta hai ek chand ugta hai aajkal,

Hamare aasman par babale aur bhi to the.

Hamara bhav bas aisa ki jeevan ban chuke hai ham,

Kabhi patthar ke nashtar ke nazaare aur hi to the..

Jahan ke aage sitaare aur bhi the

Tumhari nazro ke sahaare ham hi the

Bas saath deti gayi...

Ye duniya banti gayi

Aandhiyo se na jhukaaya gaya hamein

Jahan me nazaare aur bhi the

Isi subah ke intezaar me sadiya beet gayi

Paniyo ke kinaare aur bhi the

Hamara naam bas ruhh leti rahi

Magar ham ruuh nahi ye manne ko taiyyar tum 

hi the...


Ek surya banta hai ek chand ugta hai

Ham moort nahi ek jaan hi the

Bas intzaar me hamaare aur hi the

Hame paana bas ek chhal jaisa tha 

Ham kabhi aate nahi ruuh hi aati rahi

Tumhare saath ne badla hame 

Hamaare aasmaan me tare aur bhi the

Ye zarra zarra hamara hai ham magar zarre ke nahi

Hamara bhav gahra hai deewane aur bhi the

Ham ieshwar hame  aana pada jag chhod

bas ek hi bindu me 

Hame paane ko maaya ne bithaye aur bhi to the.....

Kabhi bas shaam ko yu hi nazaare aasmaano ke

Kabhi chhupte kabhi dikhte sitaare aur bhi to the

Kuchh aisa hai jo dharti par hame laata rahe aage 

Yahi hai prem jiske sahare ruk sakein wo  ham hi the.....

Hamare astittwa ki vyakhya bas bhav hi hai

Wahi ik bhav ke dulare ham hi hain...




बुधवार, 24 दिसंबर 2025

Jab hamein naam Shiv diya hai...

                        Hindi poem


Ham wahin jaha tum chhod gaye

Aandhiyon ne bhi hame na chhoda kahi

Kal zazbaat naye the magar wahi purana silsila 

Kuchh dur tha abhi

Ham tumhe bulate...


Tumhare jazbaat yu padhte hue

Ki koi raazdaar na hua tha kabhi

Hisse hamare wo har shaam hui hai

Jo aandhiyon se na chhui gayi thi kabhi


log hame dhundhte hi rahe

Ham katl kar yu badhte gaye

Ki jannat bas yahi thi abhi.....

Ham bhagwaan ban duniya ke na hain

Ham insaan ban paida hue hain abhi

Kash ke pata hota tumhe duniyawalo ki jannat 

ka dar yahi hai abhi...


Ham kisi se milne ko yu hi bhatakte rahe 

Ki jahan khatm hokar shura hua hai abhi

Na pata kisi ko ke ham koun hai na hi kisi ko 

chalega kabhi  

Sabse mushkil hame paaana hai 

Yahi kahta raha ye jaha sabhi se

Bas ruh tak ham pahuchte hai 

Ham kisi ki bhi santaan nahi 

Ham milte hai jab duniya hai hilti

Hamara na aana hi thik tha kabhi

Tum khud ko sambhalte ya hame

Ham khamkha hi tumhe pareahan karte tabhi

Achchai hai nahi jo Dil ko chhu jaati

Ham kabhi dharti par aa paate kabhi

Wahi aakash bankar bas hawa hi hawa bane

Bas raat hi raat hisse rahi


Shiv

Ham banate bhi hatate bhi 

Hame jab naam Shiv diya hai 

Tab dar kya bhay kya ye zamana bhi

Hamara tha kabhi....

Ham wahi brahm jise na bujha jaye tumse

Bas ek nishan bindu ka jahan banata rahe....